Sunday, February 19, 2012

Parinda

chora un parindon ko
to dil ye sharminda ho gaya
ki kafir thi tu tab bhi, aabh bhi
main zinda na raha.

ke khauf tha tere hone ka
aur khushi na kabhi dekhi hamne
sitara tuta aasmaan me kahin
ik hasi thi kahin dubi usme

na gham ke the ye aansu
na aandhi me khoye ham the
sapno me aab bhi wo the waakif
bistar ki silvaton me unke aks the

bahaar aayi, na aya unke hone ka nishaan
ki maine dhundha use, uske hone ka pata
aarzu ye kaise rangeen si thi, ke khoon se
lath path teri yaden thi kahin
wo sahil na aaya jispe tu tha tika
tujko khone ka na koi tha gila
bes ik tasveer ko, ik taqdeer ko, teri har hasi ko cheer kar
hamen karna tha gunaah
hamen hona tha fanaa

ham hi the aalam, main hi tha ghulaam
chalti is kashti me main hi tha badmaan
main hi hun, main hi tha, main deta rahunga
har pal ko, har shaqs ko uska anjaam

bejaan sa chehra,ik wo ishara
na shaam thi kahin na koi sehra
seencha khoon se tha us ishq ko maine
phir kion hun main itna hairaan

hota wohi jo hota hai hona,
sab kuch to tune bhi hai kahin khona
ke tu gar kabhi mile hamen, to puchenge
ki tu thi koi shama ya tha ik parinda..........

No comments:

Post a Comment